Tark e taulaqaat? pe, Roya na tu na mein..
Lakin yeh kya keh chain se soya na tu, na mein..
Woh humsafar tha magar us say humnawaayi na thi..
keh dhoop chaaon ka alam raha,judaai na thi..
Kuch iss adaa se aj wo pehlu nasheen rahy..
Jab tak hmary paas rahy , hum nahi rahy..
Mohabbaton ka safar is tarha bhi guzra tha..
Shiikasta dil thay musaafir shikasta paayi na thi..
Adawatein thin,taghaful tha,ranjishein thin..
Bicharhnay walay main sab kuch tha,bewafaayi na thi..
Bicharhtay waqt un aankhon main thi humari ghazal..
Ghazal bhi woh jo kisi ko abhi sunayi na thi..
Kabhi yeh haal keh donon main yakdili thi bohat..
Kabhi yeh marhala jaisay keh aashnayi na thi..


0 comments:
Post a Comment