Tuesday 8 November 2011

Pyar Ka Urooj

?”Thukra Kar
Mohabat Meri
Kahan Janay Ka
Iraada He ?

Mujhe Zindagi K
Kis Morr Pe Lanay Ka Iraada He ?

Ye Jo Ab
Khafa Khafa Se Rehne Lagay Ho

Ye Pyar Ka
Urooj Hy Ya
Chhor Janay Ka
Iraada He

Jatay Jatay
Ye To Bata Jao
Aey Jaan’e’Jahan !!

Mere Pyar Me
Kami Thi Ya Kisi
Or Se Dil Lagina ka
Iraada He.?

Khamosh zuban

Phir pyar kise tum kehte ho..?

Khamosh zuban k lafzo mein..
Kuch poshida si baatein hain..

In poshida si baaton mein..
Kuch chahat ki barsaten hain..

Kuch paaye bina kuch khoo dena..
Ye pyar mein hum ne seekha hai..

Suraj mein chand sitaron me..
Har shey me tumhi ko dekha hai..

Dharkan me bhi naghma ban ke..
Sagar ki tarha tum behty ho..

Ye pyar nahi to tum hi kaho..
Phir pyar kise tum kehte ho..

Khokhla jazba

MOHABBAT JHOOT LAGTI HAI MUJE..
IK KHOKHALA JAZBA..

JISE IZHAR KI HER WAQT KHAWAISH HO..
KAHE JANE KI,SUNNE KI..

JISE HER PAL ZAROORAT HO..
“MUJE TUM SE MOHABBAT HAI”..

NA JANE ROZ KITNE LOG..
IS JUMLE KO SUNNE K LIYE BEDAR HOTE HAIN..

YE AISA JHOOT HAI JIS KA SEHER..
SADION SE TAARI HAI..
MAGAR JANAN..

MOHABBAT JAB KABHI IZHAR KO TARSE..
KOI TUM SE AGAR KEH DE..

“MUJE TUM SE MOHABBAT HAI”..
TO US KI BAAT MAT SUNNA..

MOHABBAT ROOH SE PHOOTE..

MOHABBAT AKS BAN JAYE..

TO PHIR TUM KO YAQEEN AAYE..
K MAIN NE SACH KAHA TUM SE..

MOHABBAT ROOH BAN JAYE..
TO PHIR IS KA YAQEEN KERNA..

WERNA IK JUMLA KOI KITNI BAR DHURAYE..
KAHE JAYE..
NAHI SUNNA..

MOHABBAT JHOOT HAI JANAN..
AGAR IZHAR KI IS KO ZAROORAT HO..

Bijliiyaan aksar vo giraate rahe

Bijliiyaan aksar vo giraate rahe..
Aashiyaane hum bhi banaate rahe..

Kitni mujhko aap se umeede thi..
Kitnaa aap mujh ko rulaate rahe..

Dekhta raha main ek phool ko..
Khayaal mujhko aapke aate rahe..

Aapke dil ko Khuda humne kaha..
Aap mere dil ko dukhaate rahe..

Kaati is tarah se humne zindagi..
Diye jalaa-jalaa ke bhujhaate rahe..

Hum bhi sun ke an-suni karte rahe..
Samjhaane waale humko samjhaate rahe..

Dil gawaya barson pehle ishq mein..
Jaan se bhi aaj hum jaate rahe..

Duniya deewana kahegi..
Yuh hi agar share hum sunaate rahe..

Saaz-e-dil

Ik jabar hay ab ehsaas-e-wafa bhe, ye dil me bansana theek nahi..
ab saaz-e-dil afsurda per, is geet ko gana theek nahi..

Tum bhool chukay ye sub behtar, Tum chor chaly ye aur Achaa..
khowabon mein magar majboron ke, ye aana jana theek nahi..

Keh do k nahi hum mil saktay, keh do k koe majbori hay..
laikin ye labon tak la la kar, baaton ko chupana theek nahi..

Ay shooq-e-juno ab baaz bhe aa, kuch maan bhe lay tu mera kaha..
jo jaan k bhe anjaan bane, gham usko sunana theek nahi..

ab chor bhe do deewana pan, ab bhool bhe jao maazi ko..
ay shams ye pal pal khilwat me, ashkon ka bahana theek nahi..