Wednesday, 19 October 2011

Udaas Mousam

mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna..
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna..

jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain..
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna..

jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina..
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna..

yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain..
jab inn ki yakh bas’tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna..

tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say..
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna..

0 comments:

Post a Comment